un ka jalwa nahin dekha jata
un kā jalva nahīñ dekhā jaatā
dekh dekhā nahīñ dekhā jaatā
qatl karne kī vo jaldī thī tumheñ
ab taḌapnā nahīñ dekhā jaatā
chashm-e-ḳhūñ-bār ḳhudā rahm kare
terā ronā nahīñ dekhā jaatā
ulfat unkī nahīñ chhoḌī jaatī
haal dil kā nahīñ dekhā jaatā
dekhne hī ke liye haiñ āñkheñ
un se kyā kyā nahīñ dekhā jaatā
par tirī barq-e-tajallī kā jamāl
ḳhuub dekhā nahīñ dekhā jaatā
naama puurā vo 'hasan' kyā dekheñ
naam puurā nahīñ dekhā jaatā
un ka jalwa nahin dekha jata
dekh dekha nahin dekha jata
qatl karne ki wo jaldi thi tumhein
ab taDapna nahin dekha jata
chashm-e-KHun-bar KHuda rahm kare
tera rona nahin dekha jata
ulfat unki nahin chhoDi jati
haal dil ka nahin dekha jata
dekhne hi ke liye hain aankhen
un se kya kya nahin dekha jata
par teri barq-e-tajalli ka jamal
KHub dekha nahin dekha jata
nama pura wo 'hasan' kya dekhen
nam pura nahin dekha jata
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 128)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.