un ka KHayal har taraf un ka jamal har taraf
un ka KHayal har taraf un ka jamal har taraf
Shamsur Rahman Faruqi
MORE BYShamsur Rahman Faruqi
un kā ḳhayāl har taraf un kā jamāl har taraf
hairat-e-jalva rū-ba-rū dast-e-savāl har taraf
mujh se shikasta-pā se hai shahr kī tere aabrū
chhoḌ ga.e mire qadam naqsh-e-kamāl har taraf
ham haiñ javāñ bhī piir bhī ham haiñ adam bhī ziist bhī
ham haiñ asīr-e-halqa-e-qaul-e-muhāl har taraf
naġhma girā hai buuñd buuñd phir bhī uThī hai kitnī guuñj
uḌtī phire hai zehn meñ gard-e-ḳhayāl har taraf
qalb-e-hayāt-o-maut se mil na sakā koī javāb
pheñkā kiye haiñ garche ham sañg-e-savāl har taraf
un ka KHayal har taraf un ka jamal har taraf
hairat-e-jalwa ru-ba-ru dast-e-sawal har taraf
mujh se shikasta-pa se hai shahr ki tere aabru
chhoD gae mere qadam naqsh-e-kamal har taraf
hum hain jawan bhi pir bhi hum hain adam bhi zist bhi
hum hain asir-e-halqa-e-qaul-e-muhaal har taraf
naghma gira hai bund bund phir bhi uThi hai kitni gunj
uDti phire hai zehn mein gard-e-KHayal har taraf
qalb-e-hayat-o-maut se mil na saka koi jawab
phenka kiye hain garche hum sang-e-sawal har taraf
- Book : Ganj e Sokhta (Pg. 58)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.