un ke aate hi main ho jata hun be-KHud itna
un ke aate hī maiñ ho jaatā huuñ be-ḳhud itnā
vo chale jaate haiñ pahlū se to hosh aatā hai
ishq hai ishq koī khel tamāshā to nahīñ
jiite jī dil se ḳhayāl un kā kahāñ jaatā hai
dar-o-dīvār ye kahte hue aate haiñ nazar
vo abhī aa.egā dekho vo chalā aatā hai
lāla-o-gul haiñ chaman meñ ki khile jaate haiñ
ġhuncha-e-dil hai mirā ek ki murjhātā hai
hai shab-e-māh meñ kyoñ vajd kā aalam mujh par
kaun ye sāz-e-rag-e-jāñ pe ġhazal gaatā hai
kuchh ajab rang se dekhā hai kisī ne 'sā.ib'
rang ik chehre pe aaj aatā hai ik jaatā hai
un ke aate hi main ho jata hun be-KHud itna
wo chale jate hain pahlu se to hosh aata hai
ishq hai ishq koi khel tamasha to nahin
jite ji dil se KHayal un ka kahan jata hai
dar-o-diwar ye kahte hue aate hain nazar
wo abhi aaega dekho wo chala aata hai
lala-o-gul hain chaman mein ki khile jate hain
ghuncha-e-dil hai mera ek ki murjhata hai
hai shab-e-mah mein kyon wajd ka aalam mujh par
kaun ye saz-e-rag-e-jaan pe ghazal gata hai
kuchh ajab rang se dekha hai kisi ne 'saib'
rang ek chehre pe aaj aata hai ek jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.