un ke adna ghulam ho kar bhi
un ke adnā ġhulām ho kar bhī
ham rahe ḳhaas aam ho kar bhī
bevafā.ī na kī samundar se
mauj ne be-lagām ho kar bhī
dil kī duniyā na kar sake raushan
aap māh-e-tamām ho kar bhī
kaise rāvan kā kaam kar baiThe
naam ke aap raam ho kar bhī
ham nahīñ tere pyaar ke laa.eq
qābil-e-ehtirām ho kar bhī
pyaar karne kī bhuul kar baiThā
shaḳhs vo nek naam ho kar bhī
pyāsī pyāsī hī rah ga.ī 'bādal'
zindagī nazr-e-jām ho kar bhī
un ke adna ghulam ho kar bhi
hum rahe KHas aam ho kar bhi
bewafai na ki samundar se
mauj ne be-lagam ho kar bhi
dil ki duniya na kar sake raushan
aap mah-e-tamam ho kar bhi
kaise rawan ka kaam kar baiThe
nam ke aap ram ho kar bhi
hum nahin tere pyar ke laeq
qabil-e-ehtiram ho kar bhi
pyar karne ki bhul kar baiTha
shaKHs wo nek nam ho kar bhi
pyasi pyasi hi rah gai 'baadal'
zindagi nazr-e-jam ho kar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.