un ke dar ko dawa samajhte the
un ke dar ko davā samajhte the
ya.anī dārushshifā samajhte the
kyuuñ na aatā azaab bastī par
log ḳhud ko ḳhudā samajhte the
vo bhī apnī qabīl kā niklā
ham jise pārsā samajhte the
ham pahante the juute abbā ke
aur ḳhud ko baḌā samajhte the
vo nazar kā fareb thā 'shāfī'
ham jise qāfila samajhte the
un ke dar ko dawa samajhte the
yani darushshifa samajhte the
kyun na aata azab basti par
log KHud ko KHuda samajhte the
wo bhi apni qabil ka nikla
hum jise parsa samajhte the
hum pahante the jute abba ke
aur KHud ko baDa samajhte the
wo nazar ka fareb tha 'shafi'
hum jise qafila samajhte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.