un ke firaq ne mujhe achchha sila diya
un ke firāq ne mujhe achchhā sila diyā
jo dikh nahīñ rahā thā vo sab kuchh dikhā diyā
pahle lagī nasīm-e-sahar muzhda-e-visāl
is jhoñke ne phir āñkhoñ se dariyā bahā diyā
ik ḳhvāb mushkilāt meñ hotā hai saath saath
ik ḳhvāb ne hayāt kā har ġham bhulā diyā
maiñ sochtā rahā ki karūñ kaise lab-kushā.ī
ashkoñ ne tarjumānī kī dukhḌā sunā diyā
kuchh aur hī nazāra thā shahr-e-huzūr kā
jo aks thā dimāġh meñ yaksar miTā diyā
jab ban nahīñ rahī thī koī taiba kī sabīl
kāġhaz qalam uThāyā to rasta banā diyā
un ke firaq ne mujhe achchha sila diya
jo dikh nahin raha tha wo sab kuchh dikha diya
pahle lagi nasim-e-sahar muzhda-e-visal
is jhonke ne phir aankhon se dariya baha diya
ek KHwab mushkilat mein hota hai sath sath
ek KHwab ne hayat ka har gham bhula diya
main sochta raha ki karun kaise lab-kushai
ashkon ne tarjumani ki dukhDa suna diya
kuchh aur hi nazara tha shahr-e-huzur ka
jo aks tha dimagh mein yaksar miTa diya
jab ban nahin rahi thi koi taiba ki sabil
kaghaz qalam uThaya to rasta bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.