un ke ghar mein chand aur tare apne ghar mein aag
un ke ghar meñ chāñd aur taare apne ghar meñ aag
apnī apnī qismat pyāre apnā apnā bhaag
shāyad aaj vo mere ghar meñ raat ga.e tak aa.eñ
bhor samay se bol rahā hai apnī chhat par kaag
būḌhī dhartī aisī naarī jis ke sau sau ruup
us ke kes meñ phañs jaate haiñ kaise kaise ghaag
ye kal-jug hai pyāre is jag meñ ānand kahāñ
jitnī jaldī bhaag sake tū is dhartī se bhaag
is nagrī meñ pāshā sāhab kis ko samjhāo
har kī apnī apnī Daflī har kā apnā raag
un ke ghar mein chand aur tare apne ghar mein aag
apni apni qismat pyare apna apna bhag
shayad aaj wo mere ghar mein raat gae tak aaen
bhor samay se bol raha hai apni chhat par kag
buDhi dharti aisi nari jis ke sau sau rup
us ke kes mein phans jate hain kaise kaise ghag
ye kal-jug hai pyare is jag mein aanand kahan
jitni jaldi bhag sake tu is dharti se bhag
is nagri mein pasha sahab kis ko samjhao
har ki apni apni Dafli har ka apna rag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.