Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un ke milne ka ba-zahir to yaqin koi nahin

Damodar Thakur Zaki

un ke milne ka ba-zahir to yaqin koi nahin

Damodar Thakur Zaki

MORE BYDamodar Thakur Zaki

    un ke milne ba-zāhir to yaqīñ koī nahīñ

    vo agar chāheñ koī shak hai nahīñ koī nahīñ

    ai junūñ terī 'ināyat se hai tanhā.ī nasīb

    aur to saare bayābāñ meñ kahīñ koī nahīñ

    mutma.in jab the to himmat thā saath apne hujūm

    Dar jahāñ hone lagā ham ko vahīñ koī nahīñ

    'ishq rāhoñ meñ aayā hai ik aisā bhī maqām

    sirf ik maiñ huuñ vahāñ ahl-e-zamīñ koī nahīñ

    ek din naqsh-e-qadam par mire ban jā.egī raah

    aaj sahrā meñ to tanhā huuñ kahīñ koī nahīñ

    un ke milne ka ba-zahir to yaqin koi nahin

    wo agar chahen koi shak hai nahin koi nahin

    ai junun teri 'inayat se hai tanhai nasib

    aur to sare bayaban mein kahin koi nahin

    mutmain jab the to himmat ka tha sath apne hujum

    Dar jahan hone laga hum ko wahin koi nahin

    'ishq ki rahon mein aaya hai ek aisa bhi maqam

    sirf ek main hun wahan ahl-e-zamin koi nahin

    ek din naqsh-e-qadam par mere ban jaegi rah

    aaj sahra mein to tanha hun kahin koi nahin

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 165)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
    • Edition : 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now