un ke naqsh-e-qadam mahakte hain
un ke naqsh-e-qadam mahakte haiñ
phuul bhī jin se kam mahakte haiñ
naam likhtā huuñ ḳhat meñ jab un kā
mere kāġhaz qalam mahakte haiñ
jab bhī rotā huuñ un kī yādoñ meñ
to mire chashm-e-nam mahakte haiñ
un kī ḳhushbū bharī hai sāñsoñ meñ
ham to ab dam-ba-dam mahakte haiñ
un ke naqsh-e-qadam mahakte hain
phul bhi jin se kam mahakte hain
nam likhta hun KHat mein jab un ka
mere kaghaz qalam mahakte hain
jab bhi rota hun un ki yaadon mein
to mere chashm-e-nam mahakte hain
un ki KHushbu bhari hai sanson mein
hum to ab dam-ba-dam mahakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.