un ke sine pe rakh ke sar humne
un ke siine pe rakh ke sar ham ne
tai kiyā raat kā safar ham ne
un ke chehre ko dekh kar ham ne
chāñd dekhā na 'umr bhar ham ne
'umr ham ne baḌhā lī hai apnī
Daal ke un pe ik nazar ham ne
ho ga.ī ham pe mehrbāñ qudrat
jā ke jab chūmā un kā dar ham ne
un kī yādoñ ko un ke ḳhvāboñ ko
chun liyā apnā ham-safar ham ne
'umr bhar jo kabhī na kam hogā
un pe chhoḌā hai vo asar ham ne
un kā bosa liyā tasallī se
pyaar se thaam ke kamar ham ne
un ke sine pe rakh ke sar hum ne
tai kiya raat ka safar hum ne
un ke chehre ko dekh kar hum ne
chand dekha na 'umr bhar hum ne
'umr hum ne baDha li hai apni
Dal ke un pe ek nazar hum ne
ho gai hum pe mehrban qudrat
ja ke jab chuma un ka dar hum ne
un ki yaadon ko un ke KHwabon ko
chun liya apna ham-safar hum ne
'umr bhar jo kabhi na kam hoga
un pe chhoDa hai wo asar hum ne
un ka bosa liya tasalli se
pyar se tham ke kamar hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.