un ke siwa kisi ko na dekha karenge hum
un ke sivā kisī ko na dekhā kareñge ham
ā.īna-e-nazar ko na mailā kareñge ham
lo ġham kī zindagī bhī hameñ raas aa ga.ī
lo ab kabhī na aap se shikva kareñge ham
charke bahut diye haiñ vafāoñ ke rañg meñ
apnoñ pe ab kabhī na bharosa kareñge ham
rusvā.iyoñ ke ḳhauf se aañsū bhī pī ga.e
ye kis ne kah diyā tumheñ rusvā kareñge ham
ham ko to ai ḳhudā tirī rahmat pe naaz hai
isyāñ kareñge ham kabhī tauba kareñge ham
un ke siwa kisi ko na dekha karenge hum
aaina-e-nazar ko na maila karenge hum
lo gham ki zindagi bhi hamein ras aa gai
lo ab kabhi na aap se shikwa karenge hum
charke bahut diye hain wafaon ke rang mein
apnon pe ab kabhi na bharosa karenge hum
ruswaiyon ke KHauf se aansu bhi pi gae
ye kis ne kah diya tumhein ruswa karenge hum
hum ko to ai KHuda teri rahmat pe naz hai
isyan karenge hum kabhi tauba karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.