unki aankhon ke ishaare dekhe
un kī āñkhoñ ke ishāre dekhe
ya.anī jiine ke sahāre dekhe
kyā kaheñ dil kī jarāhat kyā hai
tum ne kab zaḳhm hamāre dekhe
sub.h tak aatā rahā terā ḳhayāl
raat bhar ham ne sitāre dekhe
paas ġhairoñ kā hai apnoñ se sivā
sab chalan ham ne tumhāre dekhe
us ne jab ham se nigāheñ pherīñ
dil pe chalte hue aare dekhe
qahr Dhātā huā dariyā paayā
sahme sahme se kināre dekhe
kis kī nazroñ ne vo dekhe hoñge
ham ne 'dānish' jo nazāre dekhe
un ki aankhon ke ishaare dekhe
yani jine ke sahaare dekhe
kya kahen dil ki jarahat kya hai
tum ne kab zaKHm hamare dekhe
subh tak aata raha tera KHayal
raat bhar hum ne sitare dekhe
pas ghairon ka hai apnon se siwa
sab chalan hum ne tumhaare dekhe
us ne jab hum se nigahen pherin
dil pe chalte hue aare dekhe
qahr Dhata hua dariya paya
sahme sahme se kinare dekhe
kis ki nazron ne wo dekhe honge
hum ne 'danish' jo nazare dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.