unki aankhon se mai-kashi ki hai
un kī āñkhoñ se mai-kashī kī hai
hālat ab apnī be-ḳhudī kī hai
apnī qismat meñ ranj-e-hijr kahāñ
ham ne insāñ se 'āshiqī kī hai
sub.h hañste haiñ raat rote haiñ
ham ne yuuñ apnī zindagī kī hai
āshiyāñ bijliyoñ kī zad meñ hai
kis ne gulshan kī muḳhbirī kī hai
kyā Darā.egā āsmāñ ham ko
bahr-e-ġham meñ shanāvarī kī hai
kyā shikāyat kareñ kisī se ham
ham se duniyā ne be-ruḳhī kī hai
chupke chupke se dil churā lenā
ye adā ḳhaas dilbarī kī hai
ham ko āsāñ nahīñ bhulā denā
ḳhvāb dekhe haiñ shā'irī kī hai
zulm zinda hai 'adl sharminda
tum ne kaisī ye munsifī kī hai
tum faqīroñ kā haal kyā jaano
tum ne to sirf sāhabī kī hai
ab añdheroñ kā ḳhauf kyā 'rāhī'
dil jalāyā hai raushnī kī hai
un ki aankhon se mai-kashi ki hai
haalat ab apni be-KHudi ki hai
apni qismat mein ranj-e-hijr kahan
hum ne insan se 'ashiqi ki hai
subh hanste hain raat rote hain
hum ne yun apni zindagi ki hai
aashiyan bijliyon ki zad mein hai
kis ne gulshan ki muKHbiri ki hai
kya Daraega aasman hum ko
bahr-e-gham mein shanawari ki hai
kya shikayat karen kisi se hum
hum se duniya ne be-ruKHi ki hai
chupke chupke se dil chura lena
ye ada KHas dilbari ki hai
hum ko aasan nahin bhula dena
KHwab dekhe hain sha'iri ki hai
zulm zinda hai 'adl sharminda
tum ne kaisi ye munsifi ki hai
tum faqiron ka haal kya jaano
tum ne to sirf sahabi ki hai
ab andheron ka KHauf kya 'rahi'
dil jalaya hai raushni ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.