unki baaton ko tolta hun main
un kī bātoñ ko toltā huuñ maiñ
phir zabāñ apnī kholtā huuñ maiñ
kyoñ na mīThā ho niim nafrat kā
pyaar kā ras jo gholtā huuñ maiñ
dosh dene se pahle auroñ ko
aib apnā TaToltā huuñ maiñ
sāmnā āñdhiyoñ kā kyā kartā
jab havāoñ se Doltā huuñ maiñ
mārnā Dañk merī fitrat hai
is liye kuchh bhī boltā huuñ maiñ
un ki baaton ko tolta hun main
phir zaban apni kholta hun main
kyon na miTha ho nim nafrat ka
pyar ka ras jo gholta hun main
dosh dene se pahle auron ko
aib apna TaTolta hun main
samna aandhiyon ka kya karta
jab hawaon se Dolta hun main
marna Dank meri fitrat hai
is liye kuchh bhi bolta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.