unki derina mulaqat jo yaad aati hai
unki derina mulaqat jo yaad aati hai
Syed Mubeen Alvi Khairabadi
MORE BYSyed Mubeen Alvi Khairabadi
un kī derīna mulāqāt jo yaad aatī hai
chashm-e-tar sūrat-e-paimāna chhalak jaatī hai
dil meñ aate hī sar-e-shām tasavvur terā
raat saarī mirī āñkhoñ meñ guzar jaatī hai
ye junūñ hai ki mohabbat kī alāmat koī
terī sūrat mujhe har shai meñ nazar aatī hai
sāqiyā jis pe navāzish ho karam ho terā
us ke har jaam kī tāsīr badal jaatī hai
jab bhī palkoñ pe chamak jaate haiñ yādoñ ke charāġh
nabz kuchh der zamāne kī Thahar jaatī hai
ye bhī ik un kī nigāhoñ kā karishma hai 'mubīn'
zindagī ḳhvāb kī sūrat meñ nazar aatī hai
un ki derina mulaqat jo yaad aati hai
chashm-e-tar surat-e-paimana chhalak jati hai
dil mein aate hi sar-e-sham tasawwur tera
raat sari meri aankhon mein guzar jati hai
ye junun hai ki mohabbat ki alamat koi
teri surat mujhe har shai mein nazar aati hai
saqiya jis pe nawazish ho karam ho tera
us ke har jam ki tasir badal jati hai
jab bhi palkon pe chamak jate hain yaadon ke charagh
nabz kuchh der zamane ki Thahar jati hai
ye bhi ek un ki nigahon ka karishma hai 'mubin'
zindagi KHwab ki surat mein nazar aati hai
- Book : Pirahn-e-harf (Pg. 46)
- Author : Mubeen Alvi Khairabadi
- Publication : Mubeen Alvi Khairabadi (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.