unki har baat hi urdu mein sanad hai had hai
un kī har baat hī urdu meñ sanad hai had hai
merā likkhā huā har lafz hī radd hai had hai
nazr-e-tashkīk na kar pāk-nigāhī ko mirī
tujh se milnā bhī koī ḳhvāhish-e-bad hai had hai
har na.e panchhī ko uḌne nahīñ detī duniyā
har kisī dil meñ bharā kīna-o-kad hai had hai
mujh ko dekhā jo sar-e-bazm to muñh pher liyā
apne vā'doñ se ye e'rāz-e-amad hai had hai
pahle ḳhud hī mire ḳhvāboñ ko sabotāzh kiyā
ab zarūrat hai mirī aur ashad hai had hai
yuuñ to ahbāb kī ta.adād ziyāda hai magar
itnī mushkil meñ rasad hai na madad hai had hai
qais ke dar kā maiñ sajjāda-nashīñ huuñ lekin
log kahte haiñ ki tū ahl-e-ḳhirad hai had hai
un ki har baat hi urdu mein sanad hai had hai
mera likkha hua har lafz hi radd hai had hai
nazr-e-tashkik na kar pak-nigahi ko meri
tujh se milna bhi koi KHwahish-e-bad hai had hai
har nae panchhi ko uDne nahin deti duniya
har kisi dil mein bhara kina-o-kad hai had hai
mujh ko dekha jo sar-e-bazm to munh pher liya
apne wa'don se ye e'raaz-e-amad hai had hai
pahle KHud hi mere KHwabon ko sabotazh kiya
ab zarurat hai meri aur ashad hai had hai
yun to ahbab ki tadad ziyaada hai magar
itni mushkil mein rasad hai na madad hai had hai
qais ke dar ka main sajjada-nashin hun lekin
log kahte hain ki tu ahl-e-KHirad hai had hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.