unki KHair-o-KHabar nahin milti
un kī ḳhair-o-ḳhabar nahīñ miltī
ham ko hī ḳhaas kar nahīñ miltī
shā.irī ko nazar nahīñ miltī
mujh ko tū hī agar nahīñ miltī
ruuh meñ dil meñ jism meñ duniyā
DhūñDhtā huuñ magar nahīñ miltī
log kahte haiñ ruuh biktī hai
maiñ jidhar huuñ udhar nahīñ miltī
un ki KHair-o-KHabar nahin milti
hum ko hi KHas kar nahin milti
shairi ko nazar nahin milti
mujh ko tu hi agar nahin milti
ruh mein dil mein jism mein duniya
DhunDhta hun magar nahin milti
log kahte hain ruh bikti hai
main jidhar hun udhar nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.