unki nigah-e-naz ka mastana ho gaya
un kī nigāh-e-nāz kā mastāna ho gayā
maiñ hosh meñ kuchh aur bhī dīvāna ho gayā
zāhid kā ḳhauf aur na kuchh mohtasib kā Dar
ab to mizāj-e-shaiḳh bhī rindāna ho gayā
marne ke baad khul ga.iiñ saarī haqīqateñ
jo zindagī meñ raaz thā afsāna ho gayā
yādeñ ga.iiñ vo shauq vo armān luT ga.e
ābād thā jo dil kabhī vīrāna ho gayā
majnūñ ke baad pūchhtā thā kaun najd ko
ābād mere dam se ye vīrāna ho gayā
aulād-e-nek-baḳht kī 'āzam' se pūchhiye
jo apne ghar meñ aap hī begāna ho gayā
un ki nigah-e-naz ka mastana ho gaya
main hosh mein kuchh aur bhi diwana ho gaya
zahid ka KHauf aur na kuchh mohtasib ka Dar
ab to mizaj-e-shaiKH bhi rindana ho gaya
marne ke baad khul gain sari haqiqaten
jo zindagi mein raaz tha afsana ho gaya
yaaden gain wo shauq wo arman luT gae
aabaad tha jo dil kabhi virana ho gaya
majnun ke baad puchhta tha kaun najd ko
aabaad mere dam se ye virana ho gaya
aulad-e-nek-baKHt ki 'azam' se puchhiye
jo apne ghar mein aap hi begana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.