un ko apna bana ke dekh liya
un ko apnā banā ke dekh liyā
dil se sab kuchh bhulā ke dekh liyā
raat kāñToñ pe bhī basar kar lī
lutf-e-gul bhī uThā ke dekh liyā
un ko pahlū-e-ġhair meñ pā kar
dil bhī apnā jalā ke dekh liyā
apnā bhī imtihāñ liyā ham ne
un ko bhī aazmā ke dekh liyā
rahī dil kī ḳhalish vahī 'sāhir'
pas-e-parda bhī jā ke dekh liyā
un ko apna bana ke dekh liya
dil se sab kuchh bhula ke dekh liya
raat kanTon pe bhi basar kar li
lutf-e-gul bhi uTha ke dekh liya
un ko pahlu-e-ghair mein pa kar
dil bhi apna jala ke dekh liya
apna bhi imtihan liya hum ne
un ko bhi aazma ke dekh liya
rahi dil ki KHalish wahi 'sahir'
pas-e-parda bhi ja ke dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.