un ko haal-e-dil-e-pur-soz suna kar uTThe
un ko hāl-e-dil-e-pur-soz sunā kar uTThe
aur do-chār ke ghar aag lagā kar uTThe
tum ne pahlū meñ mire baiTh ke aafat Dhaa.ī
aur uTThe bhī to ik hashr uThā kar uTThe
vā'da-e-vasl se hai nā'sh pe aane kī ummīd
muzhda-e-qatl mirā mujh ko sunā kar uTThe
muñh chhupāne meñ to hai sharm o hayā kā parda
haañ magar dil bhī nigah thā ki churā kar uTThe
aaj aa.e the ghaḌī bhar ko 'zahīr'-e-nākām
aap bhī ro.e hameñ saath rulā kar uTThe
un ko haal-e-dil-e-pur-soz suna kar uTThe
aur do-chaar ke ghar aag laga kar uTThe
tum ne pahlu mein mere baiTh ke aafat Dhai
aur uTThe bhi to ek hashr uTha kar uTThe
wa'da-e-wasl se hai na'sh pe aane ki ummid
muzhda-e-qatl mera mujh ko suna kar uTThe
munh chhupane mein to hai sharm o haya ka parda
han magar dil bhi nigah tha ki chura kar uTThe
aaj aae the ghaDi bhar ko 'zahir'-e-nakaam
aap bhi roe hamein sath rula kar uTThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.