un ko phir be-naqab kaun kare
un ko phir be-naqāb kaun kare
dil kī duniyā ḳharāb kaun kare
shauq-e-iz.hār-e-ārzū hī nahīñ
dāġh-e-ġham kā hisāb kaun kare
nigah-e-intiḳhāb shāhid hai
himmat-e-intiḳhāb kaun kare
bazm meñ vo to muntazir haiñ mire
bazm meñ bāryāb kaun kare
dekhte haiñ vo mast nazroñ se
yaad jām-e-sharāb kaun kare
tāb-e-guftār hī nahīñ baaqī
shikva-e-iztirāb kaun kare
dil hai nākām-e-ārzū 'nayyar'
ab ise kāmyāb kaun kare
un ko phir be-naqab kaun kare
dil ki duniya KHarab kaun kare
shauq-e-izhaar-e-arzu hi nahin
dagh-e-gham ka hisab kaun kare
nigah-e-intiKHab shahid hai
himmat-e-intiKHab kaun kare
bazm mein wo to muntazir hain mere
bazm mein baryab kaun kare
dekhte hain wo mast nazron se
yaad jam-e-sharab kaun kare
tab-e-guftar hi nahin baqi
shikwa-e-iztirab kaun kare
dil hai nakaam-e-arzu 'nayyar'
ab ise kaamyab kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.