un ko rona to nahin tha han magar rote rahe
un ko ronā to nahīñ thā haañ magar rote rahe
tujh pe ai duniyā sabhī ahl-e-nazar rote rahe
ġham se Dar se dard se had ho ga.ī ḳhushiyoñ se bhī
ham banī-ādam kā qissa muḳhtasar rote rahe
kuchh huā hai bujh chalā hai dhīre dhīre āftāb
shab meñ taare chāñd ko de kar ḳhabar rote rahe
rone vaale ro ke kuchh arse meñ chup bhī ho ga.e
hañsne vaale qahqahoñ meñ umr bhar rote rahe
log ḳhush hote rahe phūloñ ko aksar toḌ kar
aur bāġhoñ meñ ka.ī ḳhālī shajar rote rahe
maut ne to de diyā bīmār ko aa kar sukūñ
haar par apnī magar sab chārāgar rote rahe
sang-e-marmar kī zamīñ vaale hasīñ bangle meñ ham
yaad kar ke apnā vo kachchā sā ghar rote rahe
vo to shah-rag se qarīñ hai us se kyā rakhte bharam
ham musalle par jhukā.e apnā sar rote rahe
un ko rona to nahin tha han magar rote rahe
tujh pe ai duniya sabhi ahl-e-nazar rote rahe
gham se Dar se dard se had ho gai KHushiyon se bhi
hum bani-adam ka qissa muKHtasar rote rahe
kuchh hua hai bujh chala hai dhire dhire aaftab
shab mein tare chand ko de kar KHabar rote rahe
rone wale ro ke kuchh arse mein chup bhi ho gae
hansne wale qahqahon mein umr bhar rote rahe
log KHush hote rahe phulon ko aksar toD kar
aur baghon mein kai KHali shajar rote rahe
maut ne to de diya bimar ko aa kar sukun
haar par apni magar sab chaaragar rote rahe
sang-e-marmar ki zamin wale hasin bangle mein hum
yaad kar ke apna wo kachcha sa ghar rote rahe
wo to shah-rag se qarin hai us se kya rakhte bharam
hum musalle par jhukae apna sar rote rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.