un se har haal mein tum silsila-jumban rakhna
un se har haal meñ tum silsila-jumbāñ rakhnā
kuchh madavā-e-ġham-e-gardish-e-daurāñ rakhnā
apne qaabū meñ zarā gesu-e-pechāñ rakhnā
raas aatā nahīñ duniyā ko pareshāñ rakhnā
is añdhere meñ bhaTak jaa.eñ na yādeñ un kī
apnī mizhgāñ pe charāġhoñ ko farozāñ rakhnā
āj-kal bikte haiñ bāzār meñ insāñ ke zamīr
tum ho insān to phir vaq.at-e-insāñ rakhnā
daaġh dil ke haiñ salāmat to koī baat nahīñ
tīrgī laakh sahī sub.h kā imkāñ rakhnā
mausam-e-shahr-e-nigārāñ kā koī Thiik nahīñ
gosha-e-dil meñ koī ātish-e-sozāñ rakhnā
tum se sach pūchho to itnī hai guzārish merī
apne 'afsar' ko ḳhizāñ meñ bhī ġhazal-ḳhvāñ rakhnā
un se har haal mein tum silsila-jumban rakhna
kuchh madawa-e-gham-e-gardish-e-dauran rakhna
apne qabu mein zara gesu-e-pechan rakhna
ras aata nahin duniya ko pareshan rakhna
is andhere mein bhaTak jaen na yaaden un ki
apni mizhgan pe charaghon ko farozan rakhna
aaj-kal bikte hain bazar mein insan ke zamir
tum ho insan to phir waqat-e-insan rakhna
dagh dil ke hain salamat to koi baat nahin
tirgi lakh sahi subh ka imkan rakhna
mausam-e-shahr-e-nigaran ka koi Thik nahin
gosha-e-dil mein koi aatish-e-sozan rakhna
tum se sach puchho to itni hai guzarish meri
apne 'afsar' ko KHizan mein bhi ghazal-KHwan rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.