un se kahin mile hain to hum yun kabhi mile
un se kahīñ mile haiñ to ham yuuñ kabhī mile
ik ajnabī se jaise koī ajnabī mile
dekhā to lauh-e-dil pe tire naam ke sivā
jalte hue nishān-e-sitam aur bhī mile
kuchh duur aao maut ke hamrāh bhī chaleñ
mumkin hai rāste meñ kahīñ zindagī mile
hoñToñ kī mai-nazar ke taqāze badan kī aañch
ab kyā zarūr hai ki vahī raat bhī mile
un se kahin mile hain to hum yun kabhi mile
ek ajnabi se jaise koi ajnabi mile
dekha to lauh-e-dil pe tere nam ke siwa
jalte hue nishan-e-sitam aur bhi mile
kuchh dur aao maut ke hamrah bhi chalen
mumkin hai raste mein kahin zindagi mile
honTon ki mai-nazar ke taqaze badan ki aanch
ab kya zarur hai ki wahi raat bhi mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.