un se mayus-e-iltifat nahin
un se māyūs-e-iltifāt nahīñ
go ba-zāhir tavaqquāt nahīñ
ishq hī vaj.h-e-mushkilāt nahīñ
yuuñ bhī ġham se kahīñ najāt nahīñ
ishq kī azmateñ bajā lekin
ishq hī maqsad-e-hayāt nahīñ
jin ko āsā.isheñ mayassar haiñ
vo bhī āsūda-e-hayāt nahīñ
ishq hai tāb-āzmā lekin
aap chāheñ to koī baat nahīñ
vo ḳhafā aur ik jahāñ dushman
ab koī sūrat-e-hayāt nahīñ
azm-e-takmīl-e-'ārzū' karte
zindagī ko magar sabāt nahīñ
un se mayus-e-iltifat nahin
go ba-zahir tawaqquat nahin
ishq hi wajh-e-mushkilat nahin
yun bhi gham se kahin najat nahin
ishq ki azmaten baja lekin
ishq hi maqsad-e-hayat nahin
jin ko aasaishen mayassar hain
wo bhi aasuda-e-hayat nahin
ishq hai tab-azma lekin
aap chahen to koi baat nahin
wo KHafa aur ek jahan dushman
ab koi surat-e-hayat nahin
azm-e-takmil-e-'arzu' karte
zindagi ko magar sabaat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.