un se milne ka bahana nahin milta koi
un se milne kā bahānā nahīñ miltā koī
dhuup hī miltī hai saayā nahīñ miltā koī
dil lubhāne ko bahut khel magar un ke paas
mere dil jaisā khilaunā nahīñ miltā koī
do qadam chalte hī manzil milī tum ko yaaro
aur mujh ko kabhī rastā nahīñ miltā koī
maiñ to sab chhoḌ ke bhī paas tire aa jā.ūñ
terī jānib se ishāra nahīñ miltā koī
log jis vaqt mujhe ġhaur se sunte haiñ yaar
mujh ko us vaqt fasāna nahīñ miltā koī
un se milne ka bahana nahin milta koi
dhup hi milti hai saya nahin milta koi
dil lubhane ko bahut khel magar un ke pas
mere dil jaisa khilauna nahin milta koi
do qadam chalte hi manzil mili tum ko yaro
aur mujh ko kabhi rasta nahin milta koi
main to sab chhoD ke bhi pas tere aa jaun
teri jaanib se ishaara nahin milta koi
log jis waqt mujhe ghaur se sunte hain yar
mujh ko us waqt fasana nahin milta koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.