un se un jaisi rawish apnaen kya
un se un jaisī ravish apnā.eñ kyā
apnī hī nazroñ meñ ham gir jaa.eñ kyā
apnī rūdād-e-alam dohrā.eñ kyā
sāmne haiñ vo unheñ sharmā.eñ kyā
bik rahe haiñ jis tarah ahl-e-suḳhan
ham bhī un hī kī tarah bik jaa.eñ kyā
manzil-e-maqsūd to nazroñ meñ hai
mushkilāt-e-rāh se ghabrā.eñ kyā
hashr jo honā hai vo ho jā.egā
kūcha-e-jānāñ se ab ham jaa.eñ kyā
ḳhud-pasandī hai tumhārī bazm meñ
daad apne fan kī ham yaañ paa.eñ kyā
ishq kī garmī se haiñ ham faizyāb
garmī-e-māhaul se ghabrā.eñ kyā
ta.ane bhī hañs kar suneñge ġhair ke
ishq meñ rusvā.ī se Dar jaa.eñ kyā
shaiḳh sāhib se to an-ban ho ga.ī
ghar barahman ke bhī ab na jaa.eñ kyā
vo to shā.ir ho gayā hai ai 'nadīm'
raah par 'āqib' ko ab ham laa.eñ kyā
un se un jaisi rawish apnaen kya
apni hi nazron mein hum gir jaen kya
apni rudad-e-alam dohraen kya
samne hain wo unhen sharmaen kya
bik rahe hain jis tarah ahl-e-suKHan
hum bhi un hi ki tarah bik jaen kya
manzil-e-maqsud to nazron mein hai
mushkilat-e-rah se ghabraen kya
hashr jo hona hai wo ho jaega
kucha-e-jaanan se ab hum jaen kya
KHud-pasandi hai tumhaari bazm mein
dad apne fan ki hum yan paen kya
ishq ki garmi se hain hum faizyab
garmi-e-mahaul se ghabraen kya
tane bhi hans kar sunenge ghair ke
ishq mein ruswai se Dar jaen kya
shaiKH sahib se to an-ban ho gai
ghar barahman ke bhi ab na jaen kya
wo to shair ho gaya hai ai 'nadim'
rah par 'aqib' ko ab hum laen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.