Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unhen sawal hi lagta hai mera rona bhi

Aziz Qaisi

unhen sawal hi lagta hai mera rona bhi

Aziz Qaisi

MORE BYAziz Qaisi

    unheñ savāl lagtā hai merā ronā bhī

    ajab sazā hai jahāñ meñ ġharīb honā bhī

    ye raat raat bhī hai oḌhnā-bichhaunā bhī

    is ek raat meñ hai jāgnā bhī sonā bhī

    vo habs-e-dam hai zamīñ āsmāñ vus.at meñ

    ki aisā tang na hogā lahad konā bhī

    ajiib shahr hai ghar bhī haiñ rāstoñ tarah

    kise nasīb hai rātoñ ko chhup ke ronā bhī

    khule meñ so.eñge phir motiyā ke phūloñ se

    sajāo zulf basā lo zarā bichhaunā bhī

    najāt-e-rūh bhī arzāñ nushūr-e-dil tarah

    huā hai sahl zamīroñ ke daaġh dhonā bhī

    'azīz' kaisī ye saudāgaroñ bastī hai

    garāñ hai dil se yahāñ kaaTh khilaunā bhī

    unhen sawal hi lagta hai mera rona bhi

    ajab saza hai jahan mein gharib hona bhi

    ye raat raat bhi hai oDhna-bichhauna bhi

    is ek raat mein hai jagna bhi sona bhi

    wo habs-e-dam hai zamin aasman ki wusat mein

    ki aisa tang na hoga lahad ka kona bhi

    ajib shahr hai ghar bhi hain raston ki tarah

    kise nasib hai raaton ko chhup ke rona bhi

    khule mein soenge phir motiya ke phulon se

    sajao zulf basa lo zara bichhauna bhi

    najat-e-ruh bhi arzan nushur-e-dil ki tarah

    hua hai sahl zamiron ke dagh dhona bhi

    'aziz' kaisi ye saudagaron ki basti hai

    garan hai dil se yahan kaTh ka khilauna bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now