unhen shauq-e-ibaadat bhi hai aur gane ki aadat bhi
unhen shauq-e-ibaadat bhi hai aur gane ki aadat bhi
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
unheñ shauq-e-ibādat bhī hai aur gaane kī 'ādat bhī
nikaltī haiñ du'ā.eñ un ke muñh se Thumriyāñ ho kar
ta'alluq 'āshiq-o-mā'shūq kā to lutf rakhtā thā
maze ab vo kahāñ paatī rahī biibī miyāñ ho kar
na thī mutlaq tavaqqo' bill banā kar pesh kar doge
mirī jaañ luT gayā maiñ to tumhārā mehmāñ ho kar
haqīqat meñ maiñ bulbul huuñ magar chāre kī ḳhvāhish meñ
banā huuñ member-e-council yahāñ miTThū miyāñ ho kar
nikālā kartī haiñ ghar se ye kah kar tū to majnūñ hai
satā rakkhā hai mujh ko saas ne lailā kī maañ ho kar
raqīb-e-sifla-ḳhū Thahre na merī aah ke aage
bhagāyā machchharoñ ko un ke kamroñ se dhuāñ ho kar
unhen shauq-e-ibaadat bhi hai aur gane ki 'adat bhi
nikalti hain du'aen un ke munh se Thumriyan ho kar
ta'alluq 'ashiq-o-ma'shuq ka to lutf rakhta tha
maze ab wo kahan pati rahi bibi miyan ho kar
na thi mutlaq tawaqqo' bill bana kar pesh kar doge
meri jaan luT gaya main to tumhaara mehman ho kar
haqiqat mein main bulbul hun magar chaare ki KHwahish mein
bana hun member-e-council yahan miTThu miyan ho kar
nikala karti hain ghar se ye kah kar tu to majnun hai
sata rakkha hai mujh ko sas ne laila ki man ho kar
raqib-e-sifla-KHu Thahre na meri aah ke aage
bhagaya machchharon ko un ke kamron se dhuan ho kar
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 112)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.