Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unhin ki shah se unhen mat karta rahta hun

Irfan Siddiqi

unhin ki shah se unhen mat karta rahta hun

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    unhīñ shah se unheñ maat kartā rahtā huuñ

    sitamgaroñ mudārāt kartā rahtā huuñ

    yahāñ koī nahīñ suntā hadis-e-dil-zadagāñ

    magar maiñ aur tarah baat kartā rahtā huuñ

    bhalā ye umr koī kārobār-e-shauq hai

    bas ik talāfi-e-māfāt kartā rahtā huuñ

    ye kā.enāt mire bāl-o-par ke bas nahīñ

    to kyā karūñ safar-e-zāt kartā rahtā huuñ

    yahīñ pe vār-e-harīfāñ uThānā paḌtā hai

    yahīñ hisāb-e-musāvāt kartā rahtā huuñ

    ajab nahīñ kisī koshish meñ kāmrāñ ho jā.ūñ

    mohabbatoñ shurūāt kartā rahtā huuñ

    hamesha kāsa-e-ḳhālī chhalaktā rahtā hai

    faqīr huuñ so karāmāt kartā rahtā huuñ

    unhin ki shah se unhen mat karta rahta hun

    sitamgaron ki mudaraat karta rahta hun

    yahan koi nahin sunta hadis-e-dil-zadagan

    magar main aur tarah baat karta rahta hun

    bhala ye umr koi karobar-e-shauq ki hai

    bas ek talafi-e-mafat karta rahta hun

    ye kaenat mere baal-o-par ke bas ki nahin

    to kya karun safar-e-zat karta rahta hun

    yahin pe war-e-harifan uThana paDta hai

    yahin hisab-e-musawat karta rahta hun

    ajab nahin kisi koshish mein kaamran ho jaun

    mohabbaton ki shuruat karta rahta hun

    hamesha kasa-e-KHali chhalakta rahta hai

    faqir hun so karamat karta rahta hun

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    unhin ki shah se unhen mat karta rahta hun Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now