unwan badal gae hain fasane badal gae
unvān badal ga.e haiñ fasāne badal ga.e
tū bhī badal ki ab to zamāne badal ga.e
dil meñ na rakh dabā ke tamanna kī bijliyāñ
aksar inhī se ā.ina-ḳhāne badal ga.e
ham se mohabbatoñ kī kahānī na pūchhiye
sab tiir chal chuke to nishāne badal ga.e
jis husn kī talāsh meñ sadiyoñ ravāñ rahe
pahuñche vahāñ to log suhāne badal ga.e
jazbāt-e-ishq ne na.ī rāheñ talāsh liiñ
arbāb-e-husn ke bhī bahāne badal ga.e
ḳhat ko kabūtaroñ kī zarūrat nahīñ rahī
jaade payām-bar ke purāne badal ga.e
rahnā sañvar ke husn kā fitrī mizāj hai
gesū badal ga.e haiñ to shāne badal ga.e
sāz-e-qadīm raunaq-e-bazm-e-tarab nahīñ
mastī badal ga.ī hai tarāne badal ga.e
sūrat badal ga.ī hai jazīroñ kī is tarah
jaise samundaroñ ke Thikāne badal ga.e
sajtī haiñ parkoñ meñ hasīnoñ kī mahfileñ
lazzat badal ga.ī hai to khāne badal ga.e
europe sañvārne ke azā.em the shaiḳh ke
pahuñche vahāñ to apne gharāne badal ga.e
badlī rutoñ kī raushnī 'shāhīñ' ajiib hai
kuchh log kah rahe haiñ ki thāne badal ga.e
unwan badal gae hain fasane badal gae
tu bhi badal ki ab to zamane badal gae
dil mein na rakh daba ke tamanna ki bijliyan
aksar inhi se aaina-KHane badal gae
hum se mohabbaton ki kahani na puchhiye
sab tir chal chuke to nishane badal gae
jis husn ki talash mein sadiyon rawan rahe
pahunche wahan to log suhane badal gae
jazbaat-e-ishq ne nai rahen talash lin
arbab-e-husn ke bhi bahane badal gae
KHat ko kabutaron ki zarurat nahin rahi
jade payam-bar ke purane badal gae
rahna sanwar ke husn ka fitri mizaj hai
gesu badal gae hain to shane badal gae
saz-e-qadim raunaq-e-bazm-e-tarab nahin
masti badal gai hai tarane badal gae
surat badal gai hai jaziron ki is tarah
jaise samundaron ke Thikane badal gae
sajti hain parkon mein hasinon ki mahfilen
lazzat badal gai hai to khane badal gae
europe sanwarne ke azaem the shaiKH ke
pahunche wahan to apne gharane badal gae
badli ruton ki raushni 'shahin' ajib hai
kuchh log kah rahe hain ki thane badal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.