urdu key shairi hai to hogi ye baat bhi
urdu key shā.irī hai to hogī ye baat bhī
ilm-e-arūz bhī hai rumūz-o-nikāt bhī
yuuñ hī guzar na jaa.e milan kī ye raat bhī
aao ki ab to kar leñ koī apnī baat bhī
tum apnī muskurāhaTeñ khonā nahīñ kabhī
gum-gashta ho na jaa.e mirī kā.enāt bhī
ham par karam hai aap key tashrīf-āvrī
ab iltimās hai ki rahe iltifāt bhī
chhoTe kisān haiñ ki mare jā raheñ roz
hālat pe apnī ro rahī hai shām-lāt bhī
kyā merā naam kaafī nahīñ hai ki aap ab
mujh se ye kah rahe haiñ likhūñ apnī zaat bhī
kuchh nekiyāñ kamāne key jaldī hameñ bhī hai
nā-qābil-e-yaqīñ hai hamārī hayāt bhī
urdu key shairi hai to hogi ye baat bhi
ilm-e-aruz bhi hai rumuz-o-nikat bhi
yun hi guzar na jae milan ki ye raat bhi
aao ki ab to kar len koi apni baat bhi
tum apni muskurahaTen khona nahin kabhi
gum-gashta ho na jae meri kaenat bhi
hum par karam hai aap key tashrif-awri
ab iltimas hai ki rahe iltifat bhi
chhoTe kisan hain ki mare ja rahen roz
haalat pe apni ro rahi hai sham-lat bhi
kya mera nam kafi nahin hai ki aap ab
mujh se ye kah rahe hain likhun apni zat bhi
kuchh nekiyan kamane key jaldi hamein bhi hai
na-qabil-e-yaqin hai hamari hayat bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.