uruj auron ko kuchh din hai ahrman ki tarah
'urūj auroñ ko kuchh din hai ahrman kī tarah
faroġh kis ko hai rindoñ ke bāñkpan kī tarah
mirā ḳhayāl nahīñ hai to aur kyā hogā
guzar gayā tire māthe se jo shikan kī tarah
ye sar-zamīn-e-gul-o-lāla so bhī jaatī hai
libāda barf kā oḌhe hue kafan kī tarah
kabhī to guzrūñgā is rahguzār se ho kar
ḳhud apnī taak meñ baiThā huuñ rāhzan kī tarah
ḳhizāñ kā ḳhauf mujhe khaa.e jā rahā hai 'kamāl'
chinār surḳh na hoñ ātish-e-suḳhan kī tarah
'uruj auron ko kuchh din hai ahrman ki tarah
farogh kis ko hai rindon ke bankpan ki tarah
mera KHayal nahin hai to aur kya hoga
guzar gaya tere mathe se jo shikan ki tarah
ye sar-zamin-e-gul-o-lala so bhi jati hai
libaada barf ka oDhe hue kafan ki tarah
kabhi to guzrunga is rahguzar se ho kar
KHud apni tak mein baiTha hun rahzan ki tarah
KHizan ka KHauf mujhe khae ja raha hai 'kamal'
chinar surKH na hon aatish-e-suKHan ki tarah
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 298)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.