uryaniyat ki auj-e-surayya mein phans gae
uryāniyat kī auj-e-surayyā meñ phañs ga.e
vahshat meñ log raqs-e-barahna meñ phañs ga.e
duniyā jo dī thī rab ne hameñ us ko chhoḌ kar
ham log jaane kaun sī duniyā meñ phañs ga.e
ye soch kar ki zill-e-ilāhī hoñ ḳhair-ḳhvāh
achchhe-bhale bhī qibla-o-ka.aba meñ phañs ga.e
phañsnā hī jin ke apne muqaddar kā khel thā
ik dasht se vo nikle to sahrā meñ phañs ga.e
sāhil pe bhī hai ḳhuub bhañvar jaisā ehtimām
āḳhir ham aa ke kaun se dariyā meñ phañs ga.e
ye bhuul kar ki kaise sañvartī hai āqibat
sab apnī apnī ḳhvāhish-e-bejā meñ phañs ga.e
'shāhid' rumūz-e-shā.erī laa.eñ kahāñ se ham
matl.a huā to aaj bhī iitā meñ phañs ga.e
uryaniyat ki auj-e-surayya mein phans gae
wahshat mein log raqs-e-barahna mein phans gae
duniya jo di thi rab ne hamein us ko chhoD kar
hum log jaane kaun si duniya mein phans gae
ye soch kar ki zill-e-ilahi hon KHair-KHwah
achchhe-bhale bhi qibla-o-kaba mein phans gae
phansna hi jin ke apne muqaddar ka khel tha
ek dasht se wo nikle to sahra mein phans gae
sahil pe bhi hai KHub bhanwar jaisa ehtimam
aaKHir hum aa ke kaun se dariya mein phans gae
ye bhul kar ki kaise sanwarti hai aaqibat
sab apni apni KHwahish-e-beja mein phans gae
'shahid' rumuz-e-shaeri laen kahan se hum
matla hua to aaj bhi ita mein phans gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.