us aankh na us dil se nikale hue hum hain
us aañkh na us dil se nikāle hue ham haiñ
yuuñ hai ki zarā ḳhud ko sambhāle hue ham haiñ
is bazm meñ ik jashn-e-charāġhāñ hai unhī se
kuchh ḳhvāb jo palkoñ pe ujāle hue ham haiñ
kuchh aur chamaktā hai ye dil jaisā sitārā
kin dard kī lahroñ ke havāle hue ham haiñ
dil hai ki koī faisla kar hī nahīñ paatā
ik mauj-e-tazabzub ke uchhāle hue ham haiñ
vo ho na sakā apnā to ham ho ga.e us ke
us shaḳhs kī marzī hī meñ Dhāle hue ham haiñ
is mamlikat-e-lafz-o-bayāñ meñ bhī to 'ashfāq'
ik raah alag apnī nikāle hue ham haiñ
us aankh na us dil se nikale hue hum hain
yun hai ki zara KHud ko sambhaale hue hum hain
is bazm mein ek jashn-e-charaghan hai unhi se
kuchh KHwab jo palkon pe ujale hue hum hain
kuchh aur chamakta hai ye dil jaisa sitara
kin dard ki lahron ke hawale hue hum hain
dil hai ki koi faisla kar hi nahin pata
ek mauj-e-tazabzub ke uchhaale hue hum hain
wo ho na saka apna to hum ho gae us ke
us shaKHs ki marzi hi mein Dhaale hue hum hain
is mamlikat-e-lafz-o-bayan mein bhi to 'ashfaq'
ek rah alag apni nikale hue hum hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.