us baat ka koi ranj nahin hum uski tawajjoh pa na sake
us baat kā koī rañj nahīñ ham us kī tavajjoh pā na sake
afsos hameñ bas itnā hai ham dil kā haal chhupā na sake
vo itnā achchhā hai us ko har koī apnā kahtā hai
par ham kyuuñ apnā samjhe the ye baat use samjhā na sake
ham aaj se pahle zaḳhmoñ par hañstī āñkhoñ se rote the
is baar magar dukh aisā hai hañsnā to judā muskā na sake
do lafz bayāñ kar dete haiñ ik umr kā apnī afsāna
vo chhoḌ ke gulshan aa na sakā ham chhoḌ ke sahrā jā na sake
dil ik ziddī bachche kī tarah 'shahzād' se bigḌā baiThā hai
juz ik nārāz se patthar ke koī aur use bahlā na sake
us baat ka koi ranj nahin hum us ki tawajjoh pa na sake
afsos hamein bas itna hai hum dil ka haal chhupa na sake
wo itna achchha hai us ko har koi apna kahta hai
par hum kyun apna samjhe the ye baat use samjha na sake
hum aaj se pahle zaKHmon par hansti aankhon se rote the
is bar magar dukh aisa hai hansna to juda muska na sake
do lafz bayan kar dete hain ek umr ka apni afsana
wo chhoD ke gulshan aa na saka hum chhoD ke sahra ja na sake
dil ek ziddi bachche ki tarah 'shahzad' se bigDa baiTha hai
juz ek naraaz se patthar ke koi aur use bahla na sake
- Book : aa.iinaa jhuuTaa Hai (Pg. 151)
- Author : FARHAT SHAHZAD
- Publication : Al-Hamd Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.