us but ke pujari hain musalman hazaron
us but ke pujārī haiñ musalmān hazāroñ
bigḌe haiñ isī kufr meñ īmān hazāroñ
duniyā hai ki un ke ruḳh o gesū pe miTī hai
hairān hazāroñ haiñ pareshān hazāroñ
tanhā.ī meñ bhī tere tasavvur kī badaulat
dil-bastagi-e-ġham ke haiñ sāmān hazāroñ
ai shauq tirī pasti-e-himmat kā burā ho
mushkil hue jo kaam the āsān hazāroñ
āñkhoñ ne tujhe dekh liyā ab unheñ kyā ġham
hālāñki abhī dil ko haiñ armān hazāroñ
chhāne haiñ tire ishq meñ āshufta-sarī ne
duniyā-e-musībat ke bayābān hazāroñ
ik baar thā sar gardan-e-'hasrat' pe raheñge
qātil tirī shamshīr ke ehsān hazāroñ
us but ke pujari hain musalman hazaron
bigDe hain isi kufr mein iman hazaron
duniya hai ki un ke ruKH o gesu pe miTi hai
hairan hazaron hain pareshan hazaron
tanhai mein bhi tere tasawwur ki badaulat
dil-bastagi-e-gham ke hain saman hazaron
ai shauq teri pasti-e-himmat ka bura ho
mushkil hue jo kaam the aasan hazaron
aankhon ne tujhe dekh liya ab unhen kya gham
haalanki abhi dil ko hain arman hazaron
chhane hain tere ishq mein aashufta-sari ne
duniya-e-musibat ke bayaban hazaron
ek bar tha sar gardan-e-'hasrat' pe rahenge
qatil teri shamshir ke ehsan hazaron
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.