us but se jo milne ki tadbir nazar aai
us but se jo milne kī tadbīr nazar aa.ī
bantī huī kuchh apnī taqdīr nazar aa.ī
chhup chhup ke zamāne se kyuuñ ashk-ravānī hai
shāyad ki mohabbat meñ tāsīr nazar aa.ī
jiine kā maza kyā hai jab maut hī rūThī ho
jis samt qadam uTThe zanjīr nazar aa.ī
jab ālam-e-vahshat meñ apne ko bhulā baiThā
anjām-e-mohabbat kī taqsīr nazar aa.ī
paimāna-o-mīnā kī sūrat meñ 'ra.īs' āḳhir
TuuTī huī tauba kī tasvīr nazar aa.ī
us but se jo milne ki tadbir nazar aai
banti hui kuchh apni taqdir nazar aai
chhup chhup ke zamane se kyun ashk-rawani hai
shayad ki mohabbat mein tasir nazar aai
jine ka maza kya hai jab maut hi ruThi ho
jis samt qadam uTThe zanjir nazar aai
jab aalam-e-wahshat mein apne ko bhula baiTha
anjam-e-mohabbat ki taqsir nazar aai
paimana-o-mina ki surat mein 'rais' aaKHir
TuTi hui tauba ki taswir nazar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.