us buDhe gadagar se mujhe KHauf laga tha
us būḌhe gadāgar se mujhe ḳhauf lagā thā
andhā thā magar phir bhī mujhe dekh rahā thā
logoñ ne kahā phuul thā so maan gayā maiñ
patthar thā jo us roz mire sar pe girā thā
jo bhiik milī baañT dī auroñ meñ hī maiñ ne
aur shaam ko ḳhālī mirā kashkol paḌā thā
aatā thā nazar saaf mujhe saarā tamāshā
rūmāl agarche mirī āñkhoñ pe bañdhā thā
jo mere tasāhul ke sabab TuuT gayā hai
us TuuTe khilaune se mujhe pyaar baḌā thā
patthar se kuchal aaya thā maiñ jis ko galī meñ
vo saañp to phir mere sirhāne hī khaḌā thā
sarkār ke logoñ ne girā Daalā hai jis ko
vo ghar bhī to rishvat kī kamā.ī se banā thā
us buDhe gadagar se mujhe KHauf laga tha
andha tha magar phir bhi mujhe dekh raha tha
logon ne kaha phul tha so man gaya main
patthar tha jo us roz mere sar pe gira tha
jo bhik mili banT di auron mein hi main ne
aur sham ko KHali mera kashkol paDa tha
aata tha nazar saf mujhe sara tamasha
rumal agarche meri aankhon pe bandha tha
jo mere tasahul ke sabab TuT gaya hai
us TuTe khilaune se mujhe pyar baDa tha
patthar se kuchal aaya tha main jis ko gali mein
wo sanp to phir mere sirhane hi khaDa tha
sarkar ke logon ne gira Dala hai jis ko
wo ghar bhi to rishwat ki kamai se bana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.