us chand ko humne tera chehra nahin likkha
us chand ko humne tera chehra nahin likkha
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
us chāñd ko ham ne tirā chehra nahīñ likkhā
duniyā kī kisī chiiz ko tujh sā nahīñ likkhā
zulfoñ ko tirī raat se tashbīh nahīñ dī
āñkhoñ ko kabhī sāġhar-o-mīnā nahīñ likkhā
dil ko na dikhāyā kisī sahrā se mumāsil
ashkoñ kī ravānī ko bhī dariyā nahīñ likkhā
kis baat pe barham ho zamāne ke ḳhudāo
ham ne kabhī apnā bhī qasīda nahīñ likkhā
har lamha rahe sang-e-malāmat kā nishāna
ehsās ke zaḳhmoñ kā mudāvā nahīñ likkhā
dil kī hī kisī baat ko tahrīr na kar paa.e
likhne pe jab aa.e the to kyā kyā nahīñ likkhā
us chand ko hum ne tera chehra nahin likkha
duniya ki kisi chiz ko tujh sa nahin likkha
zulfon ko teri raat se tashbih nahin di
aankhon ko kabhi saghar-o-mina nahin likkha
dil ko na dikhaya kisi sahra se mumasil
ashkon ki rawani ko bhi dariya nahin likkha
kis baat pe barham ho zamane ke KHudao
hum ne kabhi apna bhi qasida nahin likkha
har lamha rahe sang-e-malamat ka nishana
ehsas ke zaKHmon ka mudawa nahin likkha
dil ki hi kisi baat ko tahrir na kar pae
likhne pe jab aae the to kya kya nahin likkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.