us galī se mire guzarne tak
sab tamāshā hai mere marne tak
tū mirī jaan raqs meñ rahiyo
gardish-e-kun-fakāñ Thaharne tak
vasvasoñ se bharā huā thā dil
us kī chaukhaT pe sar ko dharne tak
kitne sahrā utar ga.e mujh meñ
ik subū aarzū kā bharne tak
kitne aalam guzar ga.e mujh par
raqs karne se sajda karne tak
ḳhuun kitnā bahā thā maqtal meñ
merī āñkhoñ meñ ḳhuun utarne tak
us gali se mere guzarne tak
sab tamasha hai mere marne tak
tu meri jaan raqs mein rahiyo
gardish-e-kun-fakan Thaharne tak
waswason se bhara hua tha dil
us ki chaukhaT pe sar ko dharne tak
kitne sahra utar gae mujh mein
ek subu aarzu ka bharne tak
kitne aalam guzar gae mujh par
raqs karne se sajda karne tak
KHun kitna baha tha maqtal mein
meri aankhon mein KHun utarne tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.