us husn ke nam pe yaad aae sab manzar faiz ki nazmon ke
us husn ke naam pe yaad aa.e sab manzar 'faiz' kī nazmoñ ke
vahī rang-e-hinā vahī band-e-qabā vahī phuul khile pairāhan meñ
kuchh vo jinheñ ham se nisbat thī un kūchoñ meñ aan ābād hue
kuchh arsh pe taare kahlā.e kuchh phuul bane jā gulshan meñ
ham logoñ ke aane se pahle bhī tum log udhar se guzarte the
kabhī phuul bhī dekhe ġhurfoñ meñ kabhī qaus-e-quzah kisī chilman meñ
yuuñ karne ko ishq pe qaid nahīñ sab karte haiñ achchhā karte haiñ
par ham se bahut bhī nahīñ guzre kuchh log the misr-o-madyan meñ
ham un se jo mil kar duur hue kuchh ḳhush hue kuchh ranjūr hue
ab dil kā Thikāna mushkil hai haañ jaan rahegī aiman meñ
us husn ke nam pe yaad aae sab manzar 'faiz' ki nazmon ke
wahi rang-e-hina wahi band-e-qaba wahi phul khile pairahan mein
kuchh wo jinhen hum se nisbat thi un kuchon mein aan aabaad hue
kuchh arsh pe tare kahlae kuchh phul bane ja gulshan mein
hum logon ke aane se pahle bhi tum log udhar se guzarte the
kabhi phul bhi dekhe ghurfon mein kabhi qaus-e-quzah kisi chilman mein
yun karne ko ishq pe qaid nahin sab karte hain achchha karte hain
par hum se bahut bhi nahin guzre kuchh log the misr-o-madyan mein
hum un se jo mil kar dur hue kuchh KHush hue kuchh ranjur hue
ab dil ka Thikana mushkil hai han jaan rahegi aiman mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.