us ka andaz bhi chehra bhi ghazal jaisa hai
us ka andaz bhi chehra bhi ghazal jaisa hai
Manazir Ashiq Harganvi
MORE BYManazir Ashiq Harganvi
us kā andāz bhī chehra bhī ġhazal jaisā hai
vo paḌosī mirā lagtā bhī ġhazal jaisā hai
dekhne vaalo ise merī nazar se dekho
ye mirā chāñd sā munnā bhī ġhazal jaisā hai
dharm ke naam pe ye qatl kī sāzish kuchh soch
tere hamsā.e kā bachcha bhī ġhazal jaisā hai
husn aisā hai ki dekho to lage tāj-mahal
is pe vo shaḳhs sañvartā bhī ġhazal jaisā hai
pat-jhaḌoñ se bhī ubhartī haiñ bahāreñ 'āshiq'
rang mausam kā badaltā bhī ġhazal jaisā hai
us ka andaz bhi chehra bhi ghazal jaisa hai
wo paDosi mera lagta bhi ghazal jaisa hai
dekhne walo ise meri nazar se dekho
ye mera chand sa munna bhi ghazal jaisa hai
dharm ke nam pe ye qatl ki sazish kuchh soch
tere hamsae ka bachcha bhi ghazal jaisa hai
husn aisa hai ki dekho to lage taj-mahal
is pe wo shaKHs sanwarta bhi ghazal jaisa hai
pat-jhaDon se bhi ubharti hain bahaaren 'ashiq'
rang mausam ka badalta bhi ghazal jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.