us ka chehra tari hai
us kā chehra taarī hai
chāhat ik bīmārī hai
āñkhoñ se dil tak pahuñchā
bande kī hushyārī hai
beTī ghar ke āñgan meñ
ḳhushiyoñ kī phulvārī hai
nekī karke Dhol bajā
ye hī duniyā-dārī hai
rātoñ ko taare ginnā
ishq ajab begārī hai
koī saath nahīñ degā
matlab kī bas yaarī hai
mere dil par us kā haq
achchhī ye sardārī hai
us ka chehra tari hai
chahat ek bimari hai
aankhon se dil tak pahuncha
bande ki hushyari hai
beTi ghar ke aangan mein
KHushiyon ki phulwari hai
neki karke Dhol baja
ye hi duniya-dari hai
raaton ko tare ginna
ishq ajab begari hai
koi sath nahin dega
matlab ki bas yari hai
mere dil par us ka haq
achchhi ye sardari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.