us ka KHayal aate hi manzar badal gaya
us kā ḳhayāl aate hī manzar badal gayā
matlā sunā rahā thā ki maqtā phisal gayā
baazī lagī huī thī urūj-o-zavāl kī
maiñ āsmāñ-mizāj zamīñ par machal gayā
chāroñ taraf udaas safedī bikhar ga.ī
vo aadmī to shahr kā manzar badal gayā
tum ne jamāliyāt bahut der se paḌhī
patthar se dil lagāne kā mauqā nikal gayā
saarā mizāj nuur thā saarā ḳhayāl nuur
aur is ke bāvajūd sharāre ugal gayā
us ka KHayal aate hi manzar badal gaya
matla suna raha tha ki maqta phisal gaya
bazi lagi hui thi uruj-o-zawal ki
main aasman-mizaj zamin par machal gaya
chaaron taraf udas safedi bikhar gai
wo aadmi to shahr ka manzar badal gaya
tum ne jamaliyat bahut der se paDhi
patthar se dil lagane ka mauqa nikal gaya
sara mizaj nur tha sara KHayal nur
aur is ke bawajud sharare ugal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.