us ka KHayal chashm se shab KHwab le gaya
us kā ḳhayāl chashm se shab ḳhvāb le gayā
qasme ki ishq jī se mire taab le gayā
kin nīñdoñ ab tū sotī hai ai chashm-e-girya-nāk
mizhgāñ to khol shahr ko sailāb le gayā
aave jo mastaba meñ to sun lo ki raah se
vaa.iz ko ek jām-e-mai-e-nāb le gayā
ne dil rahā bajā hai na sabr o havās o hosh
aayā jo sail-e-ishq sab asbāb le gayā
mere huzūr sham.a ne girya jo sar kiyā
royā maiñ is qadar ki mujhe aab le gayā
ahvāl us shikār zubūñ kā hai jaa.e rahm
jis nā-tavāñ ko muft na qassāb le gayā
muñh kī jhalak se yaar ke behosh ho ga.e
shab ham ko 'mīr' partav-e-mahtāb le gayā
us ka KHayal chashm se shab KHwab le gaya
qasme ki ishq ji se mere tab le gaya
kin nindon ab tu soti hai ai chashm-e-girya-nak
mizhgan to khol shahr ko sailab le gaya
aawe jo mastaba mein to sun lo ki rah se
waiz ko ek jam-e-mai-e-nab le gaya
ne dil raha baja hai na sabr o hawas o hosh
aaya jo sail-e-ishq sab asbab le gaya
mere huzur shama ne girya jo sar kiya
roya main is qadar ki mujhe aab le gaya
ahwal us shikar zubun ka hai jae rahm
jis na-tawan ko muft na qassab le gaya
munh ki jhalak se yar ke behosh ho gae
shab hum ko 'mir' partaw-e-mahtab le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.