us ka lahja aisa jaise machis ki ek tili si
us kā lahja aisā jaise māchis kī ik tiilī sī
dil pe sīdhe lag jaatī hai us kī baat nukīlī sī
sūkhe sūkhe lab haiñ us ke us kī palkeñ giilī sī
jaane kaisā dard milā hai āñkheñ haiñ pathrīlī sī
uryānī kā raqs hai jaarī bas ek baTan dabāte hī
nasl-e-nau dekhe jaatī hai filmeñ niilī niilī sī
is raste pe chalnā behad mushkil behad mushkil hai
sachchā.ī kī raah hai yaaro raah bhī vo pathrīlī sī
sastī hai behad ye jaañ bach ke rahnā jān-e-jāñ
jaane kaisī havā chalī hai sāñseñ haiñ zahrīlī sī
**
us ka lahja aisa jaise machis ki ek tili si
dil pe sidhe lag jati hai us ki baat nukili si
sukhe sukhe lab hain us ke us ki palken gili si
jaane kaisa dard mila hai aankhen hain pathrili si
uryani ka raqs hai jari bas ek baTan dabaate hi
nasl-e-nau dekhe jati hai filmen nili nili si
is raste pe chalna behad mushkil behad mushkil hai
sachchai ki rah hai yaro rah bhi wo pathrili si
sasti hai behad ye jaan bach ke rahna jaan-e-jaan
jaane kaisi hawa chali hai sansen hain zahrili si
aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.