Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uske apne darmiyan istada ek diwar main

Javed Nadeem

uske apne darmiyan istada ek diwar main

Javed Nadeem

MORE BYJaved Nadeem

    us ke apne darmiyāñ istāda ik dīvār maiñ

    ek dasht-e-shādmānī us meñ ik āzār maiñ

    maiñ nahīñ thā thā aalam meñ lekin tere ba.ad

    ai ḳhudā-e-izz-o-jal terā huā iz.hār maiñ

    sham.a se hai nuur jaisā terā merā insilāk

    varna bahtī havā hai phuul mahkār maiñ

    baḳht sāzish kahūñ phir mashiyyat ġhaib

    tīr-zan koī bhī ho lekin hadaf har baar maiñ

    kal talak us rahā thā dil ko mere ishtiyāq

    aaj vo nazdīk hai par us se huuñ bezār maiñ

    ik na ik din to musaḳhḳhar us ko honā hai 'nadīm'

    vo ḳhalāoñ makīñ hai nuur raftār maiñ

    us ke apne darmiyan istada ek diwar main

    ek dasht-e-shadmani us mein ek aazar main

    main nahin tha tu hi tha aalam mein lekin tere baad

    ai KHuda-e-izz-o-jal tera hua izhaar main

    shama se hai nur jaisa tera mera insilak

    warna tu bahti hawa hai phul ki mahkar main

    baKHt ki sazish kahun ya phir mashiyyat ghaib ki

    tir-zan koi bhi ho lekin hadaf har bar main

    kal talak us ka raha tha dil ko mere ishtiyaq

    aaj wo nazdik hai par us se hun bezar main

    ek na ek din to musaKHKHar us ko hona hai 'nadim'

    wo KHalaon ka makin hai nur ki raftar main

    Source :
    • Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 115)
    • Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
    • Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
    • Edition : 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now