uske baala hai ab wo kan ke bich
us ke baalā hai ab vo kaan ke biich
jis kī khetī hai jhuuk jaan ke biich
dil ko is kī havā ne aan ke biich
kar diyā bāvlā ik aan ke biich
aate us ko idhar sunā jis dam
aa ga.ī imbisāt jaan ke biich
raah dekhī bahut 'nazīr' us kī
jab na aayā vo is makān ke biich
paan bhī pāñdāñ meñ band rahe
itr bhī qaid itr-dān ke biich
us ke baala hai ab wo kan ke bich
jis ki kheti hai jhuk jaan ke bich
dil ko is ki hawa ne aan ke bich
kar diya bawla ek aan ke bich
aate us ko idhar suna jis dam
aa gai imbisat jaan ke bich
rah dekhi bahut 'nazir' us ki
jab na aaya wo is makan ke bich
pan bhi pandan mein band rahe
itr bhi qaid itr-dan ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.