uske charche aam bahut hain
us ke charche aam bahut haiñ
gul gulshan gulfām bahut haiñ
vaise to ārām bahut haiñ
lekin ham ko kaam bahut haiñ
rang tabassum ḳhushbū jalve
rut tere in.aam bahut haiñ
ek khilaunā chābī vaalā
le to luuñ par daam bahut haiñ
shāyad ho us paar ḳhamoshī
is jānib kohrām bahut haiñ
qistoñ meñ ab marnā kaisā
jiine ke paiġhām bahut haiñ
aage pīchhe kis ke jaa.eñ
ham jaise nākām bahut haiñ
qadam qadam haiñ rāvan lekin
nirbal ke bas raam bahut haiñ
izzat shohrat duniyā-dārī
mere sar ilzām bahut haiñ
ḳhāliq aaqā qādir daatā
mālik tere naam bahut haiñ
khel tamāsha jaadū Tonā
bāzīgar ke kaam bahut haiñ
kaun kare ab fikr kisī kī
log yahāñ badnām bahut haiñ
chalo 'sabā' se mil kar aa.eñ
us ke bhī ālām bahut haiñ
us ke charche aam bahut hain
gul gulshan gulfam bahut hain
waise to aaram bahut hain
lekin hum ko kaam bahut hain
rang tabassum KHushbu jalwe
rut tere inam bahut hain
ek khilauna chabi wala
le to lun par dam bahut hain
shayad ho us par KHamoshi
is jaanib kohram bahut hain
qiston mein ab marna kaisa
jine ke paigham bahut hain
aage pichhe kis ke jaen
hum jaise nakaam bahut hain
qadam qadam hain rawan lekin
nirbal ke bas ram bahut hain
izzat shohrat duniya-dari
mere sar ilzam bahut hain
KHaliq aaqa qadir data
malik tere nam bahut hain
khel tamasha jadu Tona
bazigar ke kaam bahut hain
kaun kare ab fikr kisi ki
log yahan badnam bahut hain
chalo 'saba' se mil kar aaen
us ke bhi aalam bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.